Tuesday, July 27, 2010

poetry

Seeney Se Lipat Ja Mere Khuwabon Se Nikal Kar

Ik Bar Milen Hum Bhi Hijabon Se Nikal Kar

Kirnon Ki Tarah Baant Zamaney Mein Ujala

Khushbu Ki Tarah Phel Gulabon Se Nikal Kar

Meh Khano Ki Soorat Hen Teri Jheel C Ankhen

Doobey Hen Jahan Log Sharabon Se Nikal Kar

Mujh Ko Bhi Gawara Nahi Ab Tujh Se Bicharna

Dil Bhi Hai Pareshan Sarabon Se Nikal Kar

Rehney Do Abhi Gardish-e-Doraan Mein Hi Fakhar,

Behlegi Tabiyat Na Azaabon Se Nikal Kar...!!!

Monday, July 26, 2010


Ay Khudaya Sun Meri Faryaad.

Tu To Kehta Hai K Mujhe Pukar,

Main To Insaan K Ziyada Kareeb Hon,

To...Sun Mere MaalikMeri Qismat Ki Siyaa Bakhtii Par

,Tere Karam Ki Baarish Kab Hogi,

Meri To Sirf Itni Faryaad Hai,

K...Aaj Ki Shab...Ya Meri Manzil Ka Pata Bata,

Ya Phir Hamesha K Liye Faryaad Karne Wali,

Zubaan Khamoosh Kardey,

Kion K...Ab Aisi Hayat Ki Mujhe Aarzoo Nahin,

Jis Main Mohabbat Meri Manzil Na Ho...!!!



"BREATH"

*HAMID*